Abhi wo dard baqi hai
Agarchay waqt marham hai
Magar kuch waqt lagta hai
Kisi ko bhool janay main
Dobara dil basanay main
Abhi kuch waqt lagna hai
Abhi wo waqt baqi hai
Main kaisay nai ulfat main
Apni zaat ko ghum kar doon
Kay mairay jism-o-wujdaan main
Abhi wo fard baqi hai
Abhi us shakhs ki mujh par
Nigah-e-sard baqi hai
Abhi to ishq kay rastoon ki
Mujh par gard baqi hai
Abhi to dard baqi hai!!
(Ahmed Faraz)
0 Comments