buss ek dooree hai tujh mein mujh mein

buss ek dooree hai tujh mein mujh mein
wagarna pyaray yaqeen kar lay…………………………….

nigah maree hai noor tu hai
demaagh mera shaoor tu hai
aada hai maree gharorr tu hai
khayal ki sarhadon say aagay
mujhay yaqeen hai zaror tu hai

hain khaab meray khayal teray
nigah maree jamal teray
jawaab meray sawaal teray
firaaq meray wisaal teray
kahan talak mein bayyan karon ga
meray musafir kamal teray

jo zaiqay sab zabaan mein hain
hamaray wahmo-o-gumaan mein hain
zameen mein aasman mein hain
hamaray har imtehan mein hain
ye sab k sab taree aataa hain
jo lafz meray bayaan mein hain

adawat’ain sub teree he khatir
rafaqatain sub teree he khatir
wazahatin sub teree he khatir
meray maseeha yaqeen kar lay
musafatain sab teree he khatir

mein zard mausam bahar tu hai
mein zinda lasha mazaar tu hai
mein muztarab hon qarar tu hai
mein aablaa-pa sawaar tu hai
uraay phirtee arzoo yeh
kahan kahan ashkar tu hai

thakee nigahon mein tu basa hai
ugaar banhon mein tu basa hai
sulagtee aahon mein tu basa hai
teree he yadain maree panahain
sabhee panahon mein tu basa hai

buss ek dooree hai tujh mein mujh mein
wagarna pyaray yaqeen kar lay……………………..

Post a Comment

0 Comments