Ticker

6/recent/ticker-posts

Kaha tha na!

Kaha tha na!
Mujhay iss tarhan
Sotay hoay mut chor kar jana
Mujhay bayshuk jaga dayna
Bata dayna
Mohabat k safar mein
Sath meray chal nahin sakteen
Judai mein hijar mein
Sath meraa jal nahin sakteen
Tumhain rasta badalna hai
Maree hud say nikalna hai
Tumhain kis baat ka dur tha
tumahin janay nahin daytaa??
Kahain par qaaid kar layta??
aray pugli!!!!!
Mohabat ki tabiyat
Zabardustee nahin hotee
Jisay rastaa badalna ho
Ussay rasta badalnay say
Jisay hud say nikalna ho
Usay hud say nikalnay say
Na koi rook paya hai
Na koi rook payay ga
Mujhay bayshuk jaga daytee
Tumhain kis baat ka dur tha
Mein tum ko dekh he layta
Tumhsin koi du’a dayta
Kum-az-kum yun tu na hota
Meray sathee haqeqat hai
Tumharay baad………………..
Khonay k liay
Ab kuch nahin baqee
Magar khonay say dartaa hon
Mein ab sonay say dartaa hon!!!!!!!!

Post a Comment

0 Comments