Ticker

6/recent/ticker-posts

mae gaya tha uss gali mei

mae gaya tha uss gali mei
kayii khwaishen pehen kar
wo jo thi bahot shanasa
inhi khirkiyon se ab ke
kisi rukh ki raushni se
na chiraagh koi larza
na sitara koi chamka
na hi phool koi aaya
dil-e-muntazir ki janib
na uthaii koi chilman
kisi dast-e-pur hina ne
na saba ki dastakon se
koi pardah sarsaraya
kisi khwab se ulajh kar
na to choorriyan hi chankin
kisi aankh mei simat kar
na hi chand muskuraya

Post a Comment

0 Comments