Raaston ki marzi hai.

Raaston ki marzi hai.
Be zameen logon ko …
bayqarar aankhon ko ..
bad naseeb qadmon ko
jis taraf bhi lay jayain …
…………………Raaston ki marzi hai

be nishaan jazeeron per
bud guman shahron main…
bay zuban musaafir ko ..
jis taraf bhi Bhatka dain …
………………….Raaston ki marzi hai

rok lain ya Barhnay dain …
tham lain ya girnay dain ..
wasl ki lakeeron ko ….
tor dain ya milnay dain
……………………Raston ki marzi hai

Ajnabi koi la ker hamsafar bana dalain
saath chalne walon ki rakh bhi ura dalain
ya musafatain sari….
khak mein mila dalain..
……………………Raston ki marzi hai.

Post a Comment

0 Comments