Ticker

6/recent/ticker-posts

ye kya ke ek jahaaN ko karo waQf-e-iztaraab

ye kya ke ek jahaaN ko karo waQf-e-iztaraab
ye kya ke ek diL ko shakebaaN na kar sako

aesa na ho ye dard baney dard-e-La-zawaL
aesa na ho ke tum bhii mudaawa na kar sako

shaayad tumhaiN bhii chain na aaye mere baGair
shaayad ye baat tum bhii gawaaraa na kar sako

kyaa jaane phir sitam bhii mayassar ho na ho
kyaa jaane ye karam bhii karo yaa na kar sako

Allah karey jahaaN ko merii yaad bhuul jaaye
Allah karey ke tum kabhii aesaa na kar sako

merey siwaa kisii kii na ho tum ko justajuu
mere siwaa kisii kii tamannaa na kar sako

Post a Comment

0 Comments