Jo khiyal thay na qiyas thay wohi log hum say bichaar gaye
Meri zindagi ki jo aas thay wohi log hum say bichaar gaye
Jinhain maanta hi nahe yeh dil wohi log hain mere humsafar
Mujhay her tarah say jo raas thay wohi log hum say bichaar gaye
Mujhay lamha bhar ki rifaqaton kay azaab aur sataain gay
Meri umer bhar ki jo piyaas thay wohi log hum say bichaar gaye
Yeh khiyal saray hain aarzi, yeh gulaab saray hain kaghzi
Gul e aarzo ki jo baas thay wohi log hum say bichaar gaye
Jinhain ker saka na qabool mai woh shareek e rah e safar huwe
Jo meri talab meri aas thay wohi log hum say bichaar gaye
Yeh jo raat din mere saath hain wohi ajnabi kay hain ajnabi
Woh jo dharkano ki asaas thay wohi log hum say bichaar gaye

0 Comments