Ticker

6/recent/ticker-posts

Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai


Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai
wo jo apna tha, wohi aur kisi ka kiyon hai
yahi dunya hai to aisi ye dunya kiyon hai
yahi hota hai to aakhir yahi hota kiyon hai

ik zara haath badha dain to pakad lain daman
us kay seenay main sama jaye na hamari dadhkan
itni qurbat hai to phir faasla itna kyon hai
Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai

Dil-e-barbad se nikla nahin ab tak koi
ik lutay ghar pe diya karta hai dastak koi
aas jo toot gai phir say bandhata kiyon hai
Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai

tum mussarat ka kaho isko ya gham ka rishta
kehtay hain pyar ka rishta hai janam ka rishta
hai janam ka jo ye rishta to badalta kiyon hai
Koi yeh kaisay bataye ke wo tanha kiyon hai



Post a Comment

0 Comments