Wo jo shehr-e-dil tha ujar gaya


Wo jo shehr-e-dil tha ujar gaya
wo jo khwab tha bikhar gaya

kabhi mausmon ki nazar lagi
Kabhi wahmon nay dara diya

kabhi manzloon kay saraab nay
hamain rastay main dagha diya

kabhi zindagi ki kitab say
hamain jis nay chaha mita diya

bas isi liye

wo jo ja raha tha to door tak
usay dhaikhtay hi rahe magar
nahin di sada

usay roktay bhi to kis liye…….?

Post a Comment

0 Comments