ajeeb tarah se socha hai zindagii k liye
k zakhm zakhm mae khilta hoon har khushii k liye
wo mujh ko chor gaya tu mujhe yaQeen aaya
koii b shaks zaroorii nahii kissii k liye
usse khabR hai k us ka koii nahii apna
ik aashnaii b kafii haii, ajnabii k liye
khata kisi ki ho lekin saza kisii ko milayy
ye baar jabbar ne chorii haii harr saDii k liye
ye saadgii thii merii ya k ~Saad~ chahat thii
k mae ne khud ko kya paish, dil-lagii k liye
0 Comments