kisi k gham maiN waqar khona,
koi sunega tu kya kahega
ye ratoN ko uth k tera rona koi,
sunega tu kya kahega
zamana tu chaRhte shabab ka hai pujari,
ye din kosona ye shab ko jagna
koi sunega tu kya kahega.
bhanwar maiN mujh ko jo choR daite
tu baat tum pay kabhi na aati
ye mujh ko sahil pay laa dabona,
koi sunega tu kya kahega
jo jee main aaya to khoob khaila,
jub jee se utra tu tooR dala,
mera dil bhe hai ik khilona,
koi sunega tu kya kya kahega
0 Comments