Ticker

6/recent/ticker-posts

Gaye mousam maiN jo khiltay thay gulabooN ki tarha

Gaye mousam maiN jo khiltay thay gulabooN ki tarha
Dil par utray gay woHi khuwaaB aza’bon ki tarhA

Rakh kay dheer par aB raat basar karni hai
Jal chukay haiN meray khemay, meray khuwaboon ki tarha

Woh samandaR hai to phiR rooh ko shadaB karay
Tishnagi kyu Mujhay deta hai sarabooN ki tarha

Ghair mumkiN hai teray ghaR kay gulabo-N ka shumaR
Meray rastay huway zakhmon kay hisabo-N ki tarha

Yaad to hongi tujhay woh batain ab bhi lakin
Self main rakhi huwi kitaboon ki tarha

kon janay kay naye saal main tu kis ko parhay
Tera meyar badalta hai nisabo-n ki tarha

Shokh hojati hai ab bhi teri ankhooN ki chamak
Gahay ga’hay, teray dilchasp jawaboon ki tarhA

Hijr ki shub, meri tanHaye pay dastaK day gi
Teri khushbo, meray khoye huway khua’bo-n ki tarha

Post a Comment

0 Comments