Ticker

6/recent/ticker-posts

mohabbato`n ka hisaab tha na adawato`n ka shumaar thaa




mohabbato`n ka hisaab tha na adawato`n ka shumaar thaa
kabhii us kii zaat azaab thii, kabhii rooh ka wo Qaraar thaa



merii pyaas itnii hii barh gayii k sarab jitne milay mujhe
howa dhoka jis pe gulaab ka wo sulagta, jalta sharaar thaa



usse mae ne murr ker sada na dii k palat gaya tha wo rah se
mae khizaN howa tu pata chala, merii zaat ka wo nikhaar thaa



tu bhii duur haii, mae bhii duur hon, kion alug hoay ye raaste
terii chahato`n ka guraiz thaa ya merii ana ka hisaar thaa



wo agr kissi ko milay kaheen tu koii bata de usse zara
mere fun-e-shairr kii be-khudii, tere ishQ hii ka khumaaR thaa



Post a Comment

0 Comments