Ticker

6/recent/ticker-posts

wo shakhs mujh ko jeet k hara hai aur bus


wo shakhs mujh ko jeet k hara hai aur bus
itna he zindagi ka khasara hai aur bus

kesay kahooN k us ka irada badal gaya
such to yehi hai us nay pukara hai aur bus

duni’ya ko is main dard ki shiddat kahan milay
aankhoN say aik toot’ta hua tara hai aur bus

lafzoN main dard e hijr ko mehsoos ker kay daikh
kehnay ko main nay waqt guzara hai aur bus

ab in maiN koi khwab sajanay nahiN mujhay
ankhoN ko intazar tumhara hai aur bus

maiN nay kaha k khwab maiN dekhi hain barishain
us nay kaha k aik isharaa hai aur bus

Post a Comment

1 Comments

  1. Gud. Aap ne bohat achhi poetry front page pe saja rakhi hai. I like it.

    ReplyDelete